Mujhe gila kisi se nahin hai
Mujh main hi koi kami hai
Koi dost jab zarb ban kar
Jigar mera chaak kar de ga
Meri ana ko pal bhar main
Koi lamha khaak kar de ga
Kahin koi chot ubraye
Ilzaam mere sar hi tehra
Main ghafil kahan hoon khud se
Yeh roshni mili hai jahad se
Piyaala labon tak laate laate
Zabat ke sabaq samjh main atay
Tund hawaon se ghabrana kaisa
Yeh shamma jali hai jalatay jalatay
Jab tak koi ungli na uthaye
Insaan kamal kab hua hai
Aaiyon ki bhala ab kiya zaroorat
Us ki aankhon ne yahi kaha tha
Bhatka karain bhatkaney wale
Apna pata usi se mila hai
Zindagi , main sharminda nahin hoon
Yeh meri aagahi ka sila hai
No comments:
Post a Comment