Jul 16, 2014

Na woh iqraar karta hai na woh inkaar karta hai


Na woh iqraar karta hai na woh inkaar karta hai 
Hamain phir bhi gumaan hai woh hami se pyaar karta hai 

Mundairon se koi manoos si awaaz ati hai 
Koi to yaad hum ko bhi pas-e-dewaar karta hai 

Yeh us kay pyaar ki baatein faqat qissay puranay hain 
Bhala kachay gharay par kon dariya paar karta hai 

hamain yeh dukh keh woh aksar kai mousam nahin milta 
Magar milnay ka wada hum se woh har baar karta hai 

"Hasaan" raaton ko jab sab log meethi neend sotay hain 
To ik khawwab ashnaa chahera hamain bai'daar karta hai

Poet : Hasaan Rizvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...