Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal bnaaon kis ke liye
Woh shakhs to shaher hi chor gaya main bahir jaaon kis kay liye
Jis dhoop ki dil main thandak thi, woh dhoop usi ke sath gayi
In jalti bujhti galiyon main ab khaak uraaon kis ky liye
Woh shaher main tha to us ke liye auron se bhi milma parta tha
In aisay waisay logon ky main naaz uthaon kis ke liye
Ab shaher main is ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin
Aiwaan-e-ghazal main lafzon ke gul'daan sajaon kis ke liye
Muddat se koi aya na gaya sunsaan pari hai ghar ki fiza
In khaali kamron main nasir ab shamma jalaon kis ky liye
No comments:
Post a Comment