Jul 20, 2014

Nazar-E-Faraz

Nazar-E-Faraz

Aam bulawa tha sabhi log thay shorish main shreek 
Pas-e-parda thi siyasat  kahin saazish main shreek 

Aaj asloob-e-mohabbat main akelay nahin hum 
Shaher ka shaher hai is tarz-e-nigaarish main shreek 

Ab kay sawan bhi manaya hai moharram ki tarah 
Chishm-e-giriyaan bhi rahi hijar ki baarish main shreek 

Sheikh ne aik zamanay ki ibaadat ki hai 
Aur rakha hai khuda ko bhi pristish main shreek 

Ae meri jaan-e-tamana yeh tamana hai meri 
Daaman-e-koh main hum dono hon baarish main shreek

Rang urtay huye dekhay hain gulaab kay "Turaab"
Woh pari chehra tha phoolon ki numaaish main shreek

Poet : Atta Turaab

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...