Paani aankh main bhar kar laya ja sakta hai
Ab bhi jalta shaher bhujaya ja sakta hai
Aik mohabbat aur woh bhi na'kaam mohabbat
LAkin is se kaam chalaya jaa sakta hai
Dil par paani peenay ati hain umeedain
Is chashmay main zehar milaya jaa sakta hai
Mujh gum'naam se poochtay hain farhaad-o-majnoo
Ishq main kitna naam kamaya jaa sakta hai
Yeh mehtaab yeh raat ki paishaani ka ghayo
aisa zakham to dil par khaya jaa sakta hai
Phatta puraana khwaab hai mera phir bhi "Tabish"
Is main apna aap chupaya jaa sakta hai
Poet : Abbas Tabish
No comments:
Post a Comment