Jul 20, 2014

Phir se pyaar ka dhokha khaya jaa sakta tha



Phir se pyaar ka dhokha khaya jaa sakta tha
Dil ka kiya hai , dil behlaya jaa sakta tha

Kiyon wapis na aya jaa kar woh jaane
Lakin us kay paas to jaya jaa sakta tha 

Gar na hota mom ki surat dil apna 
Gham kay suraj se takraya jaa sakta tha 

Aik tumhara saath agar mil jaata to 
Saari duniya ko thukraya ja sakta tha 

Logon ne mujram tehraya maan liya 
Aakhir kis kis ko samjhaya jaa sakta tha 

Le dooba jab aankhon ko toofaan "Batool "
Kaisay dil ka shaher bachaya jaa sakta tha 

Poet : Fakhira Batool

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...