Jul 18, 2014

Raat bhi andheri thi chaand bhi tha dooba hua


Raat bhi andheri thi chaand bhi tha dooba hua 
Aisay pehar ko bhala main aftaab kiya karti 

Roz toot jaati hoon manind zard patton kay
Jab khizaan ho qismat main phir ejtanaab kiya karti

Us ne baar'haa poocha , batao chahti ho kiya
Kehnay ko to sab tha magar la'jawaab kiya karti

Be'wafai hi thi jab unwaan her ik baab ka 
Phir wahan mohabbat ka main nisaab kiya karti 

Wasal ki talab thi par hijat tha muqadar main 
Jab yeh sab teh tha to intikhaab kiya karti

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...