Shaam ayi teri yaadon kay sitaray niklay
Rang hi gham kay nahin naqsh bhi pyaray niklay
Aik ma'hoom tamana kay saharay niklay
Chaand kay saath teray hijar kay maaray niklay
Koi mousam ho magar shaan-e-kham-o-paig wohi
Raat ki tarah koi zulf sanwaray niklay
Raqs jin ka hamain saahil se baha laya tha
Woh bhanwar aankh tak aye to kinaray niklay
Woh to jaan lay kay bhi waisa hi subak naam raha
Ishq kay baab main sab juram hamaray niklay
Dhoop ki rut main koi chaayon ugaata kaisay
Shaakh phooti thi keh ham'sayon main aaray niklay
Parveen shakir
No comments:
Post a Comment