Suna tha hum ne logon se
Mohabbat cheez aisi hai
Chupaye chup nahin sakti
Yeh chehron pe damakti hai
Yeh lehjon main jhalakti hai
Dilon tak ko ghulati hai
Lahoo eandhan banati hai
Agar sach ahi , to phir aakhir hamain
Us zaat-e-haq se yeh bhala kaisi mohabbat hai
Yeh aankhon se chalakti hai
Na chehron pe tapakti hai
Na lehjon main sulagti hai
Dilon ko azmaati hai
Na raaton ko rulaati hai
Lahoo eendhan banati hai
Na faaqon hi stati hai
na khaak alood karti hai
Na kantoon pe chalati hai
Na yeh majnoo banati hai
Ajab, aisi mohabbat hai
Faqat dawa samjhati hai
Yeh to kaisi mohabbat hai
Na kaabay ki gali main tan pe angaaray bhujhati hai
Na ghaar-e-sor main chupkay sakeenat ban kar ati hai
Hira tak le bhi jaati hai
Qudas se nazrain churaati hai
Bhala kaisi mohabbat hai
Hum apne dawa-e-haq-e-mohabbat par huye naadim
To palkon ke kinaron se jharri si lag gayi aur phir
Kahin se bijliyaan koodein
Sada ayi
Zara si aankh ki bandish ke dam bhar muntazir rehna
Wahan khud jaan jaao gy
Mohabbat ki haqeeqat ko
No comments:
Post a Comment