Suno acha nahin lagta
Keh koi doosra dekhay
Tumhari sharbati aankhain
Lab-o-rukhsaar aur palkain
Siyaah ghani lambi zulfain
Srahaye doosra koi
Mujhe acha nahin lagta
Suno acha nahin lagta
Kare jab tazkara koi
Kare jab tabsara koi
Tumhari zaat ko khojaye
Tumhari baat ko sochay
Mujhay acha nahin lagta
Suno acha nahin lagta
Tumhari muskurahat par
Hazaron log martay hain
Tumhari aik aahat par
Hazaron dil dharaktay hain
Kisi ka tum pe youn marna
Mujhay acha nahin lagta
Suno acha nahin lagta
Hawa guzray tumhain choo kar
Na ho ga yeh zabt mujh se
Kare gustakhi tum se
Tumhari zilfain buikar jayein
Tumharay lams pe jayein
mujhay acha nahin lagta
Suno acha nahin lagta
Keh tum ko phool bhi dekhain
Tumharay paas se mehkain
Ya chanda ki guzarish ho
Keh apni roshni bakhsho
Rukh-e-jana koi dekhay
Mujhay acha nahin lagta
Suno acha nahin lagta
No comments:
Post a Comment