Tabhi to main mohabbat ka hawalati nahin hota 
YAhan apnay siwa koi mulakaati nahin hota 
Aur ab is baat par bhi mujh se mere yaar ulajtay hain 
Keh main her baat sunta hoon jazbaati nahin hota 
Grifftar-e-wafa Onay ka koi mousam rakh 
Jo nala roz beh niklay woh barsaati nahin hota 
Tujhay dil main jaga di hai nazar se door kiya kartay 
Jo markaz main tehar jaye woh mazafaati nahin hota 
Bicharnay ka irada ho to mujh se mashwara karna 
Mohabbat main koi bhi faisala zaati nahin hota 
No comments:
Post a Comment