Jul 11, 2014

Teray ishq ki intiha chahta hoon


Teray ishq ki intiha chahta hoon 
Meri saadgi dekh kiya chahta hoon

Sitam ho ke ho wada-e-be'hijaabi 
Koi baat sabar azmaa chahta hoon 

Yeh jannat mubarak rahay zahidon ko 
Keh main aap ka samna chahta hoon 

Zara sa to dil hoon magar zoq itna 
Wohi lun traani suna chahta hoon 

Koi dam ka mehmaan hoon ae ehal-e-mehfil 
Chraagh-e-sehar hoon bujha chahta hoon 

Bhari bazam main raaz ki baat keh di 
Bara be'adab hoon saza chahta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...