Teri surat nigahon main phirti rahay
Ishq tera staaye to main kiya karoon
Koi aa ke to itna bata de mujhe
Jab teri yaad aye to main kiya karoon
Main ne khaak-e-nashaiman ko bosay diye
Aur yeh keh ke dil ko bhi samjha diya
Ashiyaana banana mera kaam tha
Koi bijli giraye to main kiya karoon
Husan aur ishq dono main tafreeq hai
Kiya karoon mera dono pe emaan hai
Gar khuda rooth jaye to sajday karoon
Aur sanam rooth jaye to main kiya karoon
Main ne maangi thi yeh masjadon main dua
Main jissay chahata hoon woh mujh ko milay
Jo mera farz tha main ne poora kiya
Ab khuda hi na chahye to main kiya karoon
Poet : Taabish Kaanpuri
No comments:
Post a Comment