Jul 2, 2014

Teri surat nighaon main phirti rahay



Teri surat nighaon main phirti rahay 
Ishq tera staye to main kiya karoon

Koi to aa ke itna bata de mujhe 
Jab teri yaad aye to main kiya karoon 

MAin ne khaak-e-nashai'man  ko bosay diye
Aur yeh keh kar dil ko bhi samjha diya 

Ashiyana banana mera kaam tha 
Koi bijli giraye to main kiya karoon 

Hussan aur ishq dono main tafreeq hai 
Kiya karoon mera dono pe emaan hai

Gar khuda rooth jaye to sajde karoon 
Aur sanam rooth jaye to main kiya karoon

Main ne maangi thi yeh masjadon main dua 
Main jissay chahta hoon woh mujh ko mile

Jo mera farz tha main ne poora kiya 
Ab khuda hi na chahe to main kiya karoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...