Jul 19, 2014

Teri ulfat ne to dewana bana rakha hai


Teri ulfat ne to dewana bana rakha hai 
Aur logon ne bhi afsana bana rakha hai 

Andhiyaan tez chalein , bujh na sake ga phir bhi 
Khoon-e-dil se jo diya hum ne jala rakha hai 

Unse khud un ki jafaon ka gila kaisay karain 
Hum ne aahon ko bhi seenay main daba rakha hai 

Woh jo qaatil hai , sitam'gar hai mohabbat ka meri 
Hum ne unwaan-e-ghazal un ko bana rakha hai

Ban kar anjaan sar-e-bazam woh mujh se bolay
Ishq main kis kay bura haal bana rakha hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...