Toofaan ki nagri main koi pyaar ke deep jalaye kaisay
Her hath main so so pathar hain koi kaanch ka ghar banaye kaisay
Dard ke is markiz main her aankh hai purnam ashkon se
Yahan khushiyan to anmol si hain koi muskaan laboon pe laye kaisay
Woh waqat to kab ka beet gaya dukh dard jab baanta kartay thay
Yeh khud'gharzon ki duniya hai koi tere ranj ghataye kaisay
Her shakhs masroof hai nafrat main yahan baat nakar mohabbat ki
Bahaarain chaman se rooth gayi hainphool se shabnam aye kaise
Yeh nagar bhout abaad to hai par milta koi insaan nahin
Jab izzat ho sab jhooton ki koi sach labon pe laye kaisay
JAb ujraye basti khwabon ki aur dil ka mousam jal'thal ho
Phir zabat ka daaman chuta ho koi apne ashk chupaye kaisay
Jo tehreer nahin raikhaon main ussay toot ke dil ne chaha hai
Her shai main us ki soorat hai koi aur nazar main samaye kaisay
No comments:
Post a Comment