Jul 2, 2014

Tum aksar poochtay thay na jo hum bichray to kiya ho ga


Tum aksar poochtay thay na

Jo hum bichray to kiya ho ga 

Tum aksar sochtay thay na

Na mil paaein to kiya ho ga 

To dekho ab bhi zinda hain 

Abhi bhi chaand taktay hain 

Abhi bhi phool khiltay hain 

Abhi bhi dil ke dariya main hazaron dard behtay hain 

Abhi bhi kuch nahin badla magar phir bhi kami si hai 

Tumhare baad janaa aankh main her dam nami si hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...