Tum kehtay ho keh main tumhain bool jaaon
Agar tumhari yahi arzoo hai
To phir ' meri chand shartein hain
Agar tum woh poori kar sako to kaho
Agar tum mujh ko samandar ki mojon
Ko taqseem kar ke dikhao
Aur dikhao mujhe falak ki Bulandiyon ko mutthi main qaid kar ke
To phir main tumhain
Bhoolney ki koshish karoon gi
Agar tum mujh ko
Sitaron bhari shab dikhao
Aur dikhao mujhe shab ko
Ubharta hua suraj
To phir main tumhain bhoolney ki koshish karoon gi
Agar tum mujhe raangon main
Gardish karti hui dharkan sunao
Aur dikhaao mujh ko woh zameen
Jo baarish barsaati hai
To phir main tumhain bhoolney ki koshish karoon gi
Aur agar tum aisa kar sako gy
To phir main khud ko taqseem
KArney kay liye tayaar hoon
Aur phir main wada karti hoon
To phir main tumhain bhoolney ki koshish karoon gi
Jee haan koshish karoon gi
No comments:
Post a Comment