Jul 11, 2014

Tumhari khamoshi ka sabab janta hoon main


Tumhari khamoshi ka sabab 
janta hoon main 
Roothay huye ho tum 
Manta hoon main 
Par hisar-e-ana main qaid 
Ab ki baar bhi 
Meri yeh khawaish hai 
Keh her baar ki tarah 
Tum hi mujhay manao
Par youn din ka shumar kartay kartay 
Tumhara intizar kartay kartay 
Calender ki taraf dekha 
To khayal aaya 
Ab ki baar main 
Apni ana ko tor don 
Mohabbat ki kahani ko 
Naya ik mor doon 
Shayed isi tor ho jaye 
Meri sari kotaiyon ka tadarak 
Lo aaj main tumhein kehta hoon 
Jaan-e-jaan 
Eid Mubarak

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...