Woh baarish main teray anay ka mousam
Woh mousam aankh main tehra hua hai
Nasheeli nam si madham tairagi main
Badan main ik chaman sa khil raha hai
Dikhaye aks meri khwaishon ke
Chamakta jisam hai ya aaina hai
Bhout se raaz mujh pe khul rahay hain
Meri nazron main ik band qaba hai
Chupay hain chaand abar-e-ehmareen main
Kinaron se ujaala phoot'ta hai
Teray jisam pe thandak chaand jaisi
Badan main surajon si roshni hai
Khulay shaano se dhalkay pera'han main
Yeh mar mar si qayamat kiya tanni hai
Tujhay main dekhon kis kis zawiye se
Tu saray zawiyon se deedni hai
Tujhay woh raat shayed bhool jaye
Magar meray liye to waqiya hai
Woh baarish main teray anay ka mousam
Poet Khawar Ahmed
No comments:
Post a Comment