Gulaab chaheray pe muskurahat
Chamakti aankhon main shokh jazbay
Woh jab bhi collage ki seeriyon se
Sahaliyon ko liye utarti
To aisay lagta keh jaisay dil main utar rahi ho
Kuch is teeqan se baat karti
Keh jaisay duniya us ki aankhon se dekhti ho
Woh apnay rastay pe dil bichaati hui nigahon se hans ke kehti
Tumharay jaisay bhout se larkon se main yeh baatein
Bhout se barson se sun rahi hoon
Main saahilon ki hawa hoon , neelay samnadron kay liye bani hoon
Woh saahilon ki hawa si larki
Jo raah chalti to aisa lagat keh jaisay dil main utar rahi ho
Woh kal mili to is tarah thi
Gulaab chahray pe muskurahat
Chamakti aankhon main shokh jazbay
Keh jaisay chaandi pighal rahi ho
Magar jo boli to is ke lehjay main woh thakan thi
Keh jaisay sadiyon se dasht-e-zulmat main chal rahi ho
No comments:
Post a Comment