Yeh aalam shouq ka dekha na jaye
Woh buut hai ya'khuda dekha na jaye
Yeh kin nazron se tu ne aaj dekha
Yeh tera dekhna , dekha na jaye
Hamesha kay liye mujh se bichar ja
YEh manzar bar'haa dekha na jaye
Ghalat hai jo suna par azmaa kar
Tujhe ae be'wafa dekha na jaye
YEh mehroomi nahin paas-e-wafa hai
Koi tere siwa dekha na jaye
Yahi to aashna bantay hain aakhir
Koi na'ashna dekha na jaye
Faraz apne siwa hai kon tera
Tujhe tujh se juda dekha na jaye
Poet : Ahmed Faraz
Woh buut hai ya'khuda dekha na jaye
Yeh kin nazron se tu ne aaj dekha
Yeh tera dekhna , dekha na jaye
Hamesha kay liye mujh se bichar ja
YEh manzar bar'haa dekha na jaye
Ghalat hai jo suna par azmaa kar
Tujhe ae be'wafa dekha na jaye
YEh mehroomi nahin paas-e-wafa hai
Koi tere siwa dekha na jaye
Yahi to aashna bantay hain aakhir
Koi na'ashna dekha na jaye
Faraz apne siwa hai kon tera
Tujhe tujh se juda dekha na jaye
Poet : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment