Youn teray husan ki tasveer ghazal main aaye
Jaisay balqees sulimaan kay mehal main aaye
Jabar se aik hua zaiqa-e-hijar-o-wisaal
Ab kahan se woh maza sabar kay phal main aaye
Hamsafar thi jahan farhaad kay taisay ki sadaa
Woh maqaam bhi kuch sair-o-jabal main aaye
YEh bhi Aaraish-e-hasti ka taqaza tha keh hum
Halqa-e-fikar se maidaan-e-amal main aaye
Her qadam dast-e-grebaan hai yahan khair se shar
Hum bhi kis Marka-e-jang-o-jadal main aaye
Zindagi jin kay tasawur se jilaa paati thi
Haye kiya log thay jo dam-e-ajjal main aaye
No comments:
Post a Comment