Aug 27, 2014

Aaj kahin likhtay likhtay shaam na ho jaye


Phir aaj koi ghazal us kay naam na ho jaye
Aaj kahin likhtay likhtay shaam na ho jaye 

Kar raha hoon intizaar us kay izhaar-e-mohabbat ka 
Isi intizaar main zindagi tamaam na ho jaye 

Nahin leta us ka naam sar-e-aam is dar se 
Kahin naam us ka bad'naam na ho jaye 

Maanta hoon dua jab bhi woh yaad aati hai 
Keh judai mere pyaar ka anjaam na ho jaye 

Sochta hoon darta hoon aksar tanhai main 
US kay dil main kisi aur ka maqaam na ho jaye 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...