Aug 23, 2014

Aashiyana jala diya hum ne


Aashiyana jala diya hum ne 
Raah ka pathar hata diya hum ne 

Koi ulfat ka na kare char'cha 
Hukam us ka suna diya hum ne 

Aatish-e-ishq thi , bhout munh zor
Lakin us ko bujha diya hum ne 

Yaad teri jo kam hui dil main 
To dard kuch aur barhaa diya hum ne

Thori si bhi jahan mili ulfat 
Khud ko us jaa luta diya hum ne 

Shayed us ka idher se bhi ho guzar 
Apna gulshan saja diya hum ne 

Raazi ho jaye hum se rab-e-qadeer
Sar ko dil bar jhuka liya hum ne

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...