Rang par aye junoon-e-khalq main afsaana banu
Tum jo dewaana na kaho mujh ko to dewaana na banu
Be'khudi mera qareena ho keh farza na banu
Koi surat ho magar in se na be'gana banu
Gham ki ru'daad banu , dard ka afsana banu
Tum jo banao mohabbat main to main kiya na banu
Baada-e-husan woh chalkaein ti gulshan main zara
Her gul-e-tar ki tamana hai keh pai'mana banu
Mujh ko muddat se yeh armaan hai keh ultain woh niqaab
Doulat-e-husan khuda'daad ka nazrana banu
Soz ne shamma ki manind jala rakha hai
Par bhi mil jayein to main shama se parwana banu
Woh to so rang-e-junoon bakhsh gaye mujh ko "Naseer"
Ab yeh mujh par hai keh dewana banu ya na banu
Peer Naseer-ud-din-Naseer
No comments:
Post a Comment