Aug 21, 2014

Agar yaqeen nahin ata to azmaye mujhay



Agar yaqeen nahin ata to azmaye mujhay 
Woh aaina hai to phir aaina dikhaye mujhay 

Ajeeb chragh hoon din raat jalta rehta hoon 
MAin thak gaya hoon hawa se kaho bujhaye mujhay 

Main jis ki aankh ka aansoo tha us ne qadar na ki 
Bikhar gaya hoon to ab rait se uthaye mujhay 

Bhout dino se main in pathron main pathar hoon 
Koi to aye zara dair ko rulaye mujhay 

Main chahta hoon keh tum hi mujhay ijazat do 
Tumhari tarah se koi galay lagaye mujhay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...