Aik anokha khail tamasha main hi tha
Duniya kay bazaar main sasta main hi tha
Meray sab iqraar ghalat tehray goya
Her kirdaar main sab se jhoota main hi tha
Ilm-o-amal kay auzaaron se lais thay sab
Tanha , be'bas aur nehata main hi tha
Main ne kiya tha saray gumaano ko roshan
Phir jo chadar taan kay soya , main hi tha
Raah-e-talab main apna rasta , apni chaal
Sadiyon se jo dhoond raha tha , main hi tha
Aainay ko haath laga kar daikh chuka
Woh saalam tha us main shakista main hi tha
Khud ko roshan samjha tha lakin "suleman"
Bahir jo phaila tha andhera , main hi tha
Poet : Salman Sadiqui
No comments:
Post a Comment