Aug 21, 2014

Ajab doh'raha hai , nahin mil raha kahin raasta


Wohi aaj hum se khaffa hai jo muddaton meharbaan raha 
Na woh pehlay jaisi fiza rahi , na woh pahlay jaisa samaan raha 

Pur'kaif thi meri zindagi bas nazar kisi ki hi khaa gayi 
Mera haal-e-dil na samjh saka be'khabar yeh saara jahan raha 

Wohi chal dia hai nazar chura goya tha kabhi na woh ashnaa 
Main samjhi thi hai mufalata mujhay umar bhar yeh gumaan raha 

Karain dard apna kaisay biyaan nahin koi apna to raaz'daan 
Woh sitam shaar sada ka tha , tha jo meharbaan woh kahan raha 

Mujhay aqal kehti thi sabar kar woh hai be'wafa ussay bhool ja 
Main ne baat dil hi ki maan li mujhay rokta yeh jahan raha 

Ajab doh'raha hai , nahin mil raha kahin raasta 
Na to marna mujhay sehal lagay , na hi jeena mujh ko asaan raha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...