Aks-e-deed ki phaili hui dhund main
Aankh be'noor hai
Koi chaara nahin , koi darmaan nahin
Hijar ki hiddaton se sulagtay huye
Din badaltay nahin
Manzar jaagti aankh kay taak main
Khwaab jaltay nahin
Saahil-e-zehan pe soch kay baad'baan
Tham kay chaltay nahin
Chaak siltay nahin
Gham se jholti hui shaakh hai yahan par
Phool khiltay nahin
Be'yaqeeni ki raahon par bichartay huye
Log miltay nahin
Jin ki nas nas main hai lazat-e-dard-o-gham bikhartay nahin
Zakham lagtay hain baarish kay mousam main jo , jald bhartay nahin
YEh mohabbat bhi zakham aisay mousam ka hai
YEh mohabbat bhi hai ghayoo barsaat ka
Bhar bhi jaye agar jisam ki lo se
Daagh mit'tay nahin
Yeh mohabbat bhi hai ghayo barsaat ka
Poet : Shafeeq Ahmed Khan
No comments:
Post a Comment