Azr anay main bhi hai aur bulaatay bhi nahin
Baa'is tark-e-mulaqaat bata'tay bhi nahin
kiya kaha ? phir to kaho hum nahin suntay teri
Nahin suntay , to hum aison ko sunatay bhi nahin
Dekhtay hi mujhay mehfil main yeh irshaad hua
Kon baitha hai issay log utha'tay bhi nahin
Ho chuka qatah ta'aluq to jafaein kiyon hon
Jin ko matlab nahin rehta woh sta'tay bhi nahin
Zeest se tang ho ae "dagh" to jeetay kiyon ho
Jaan piyari bhi nahin , jaan se jaatay bhi nahin
No comments:
Post a Comment