Aug 28, 2014

Bachpan main to jee bhar kay roya kartay thay


Bachpan kay dukh kitnay achay hotay hain
Tab dil nahin khilonay toota kartay thay

Woh khushiyaan bhi na;janay kaisi khushiyaan thein
Titli pakar kar uchala kartay thay

Chotay thay to makr-o-fraib bhi jhootay thay
Apnay jal jaanay ka bhi ehsaas na tha

Jaltay sholon ki taraf lipta kartay thay
Ab ik aansoo giray to ruswaa kar deta hai

Bachpan main to jee bhar kay roya kartay thay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...