Aug 20, 2014

Bara khathan hai raasta jo aa sako to saath do


Bara khathan hai raasta jo aa sako to saath do 
Yeh zindagi ka faasla mitta sako to saath do 

Baray faraib khao gi baray sitam uthao gi 
Yeh umar bhar ka saath hai nibha sako to saath do 

Jo tum kaho yeh dil kiya yeh jaan bhi fida kar doon 
Jo main kahon ik nazar luta sako to saath do

Main aik ghreeb be'nawa main aik faqeer be'sada 
Meri nazar ki iltaja jo paa sako to saath do 

Hazaar imtihaan yahan , hazaar azmaishein 
Hazaar dukh hazaar gham utha sako to saath do 

Yeh zindagi yahan khushi , ghamon kay saath saath hai 
Rulaa sako to saath do , hansa sako to saath do

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...