Dareechay se jhankti woh larki ajeeb dukh se bhari hui hai
Keh us kay aangan main phool par aik neeli titli marri hui hai
Kabhi azano main khoi khoi , kabhi nimazon main roi roi
Woh aisay duniya ko dekhti hai keh jaisay is se dari hui hai
Dard se mehki mehki saansain wazeefa parhti hui woh aankhain
Keh aik shamma-e-umeed un main kai baras se dhari hui hai
Woh dukh ki chadar main lipti lipti , woh kaalay kapron main simti simti
Mohabbat us ne kisi se shayed meri tarah hi kari hui hai
Baray zamano kay baad barsi hain meri aankhain kisi ki khatar
Baray zamano kay baad dil ki zammen phir se hari hui hai
No comments:
Post a Comment