Bhanwar main doob kar ubhroon kinaaray mil hi jaatay hain
Agar justagoo ho sachi Sahaaray mil hi jaatay hain
Tamana chaand ki karti hoon kiyon tareekh raaton main
Meri jab aankh ko ashkon kay taray mil hi jaatay hain
Mundairon pe nazar rehti hai garchay koi mousam ho
Bahaar aanay na aanay kay saharay mil hi jaatay hain
Woh aanso hain jo aankho main palat kar hi nahin aatay
Magar bichray huye sachay saharay mil hi jaatay hain
Nahin hai phool chahat ka koi bhi us kay pehlu main
Magar nafrat kay jaltay sangpare mil hi jaatay hain
NAhin hai tishnagi ab zindagi main koi sawan ki
Humraahi aankh se aankhon kay dhaaray mil hi jaatay hain
Nahin gul'faam yeh lazim keh royein hum muqadar ko
Kabhi shaahon ko bhi to kuch khsaray mil hi jaatay hain
No comments:
Post a Comment