Aug 26, 2014

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam


Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behtay hain 
Apna to milan ho ga pal pal yeh kehtay hain 
Kiya yeh zindgaani hai bas teri kahaani hai 

Bas teri kahaani hai yeh jo zindgaani hai 

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri woh baatein , woh chahat ki rasmain 
Jhootay thay waday kiya jhooti thi qasmain 
Jaan-e-tamana kiya yeh sach hai bas itna keh day 
Toot jaye na lamha aaitabaar ka 
Dy koi sila mere intizaar ka 

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri hoon teri jo chahye qasam le lay 
Mujh ko hamraahi tu apnay gham de dy
Saari umar mujh ko dard judaai ka sehna 
Raastay main khoi hai manzil meri 
Mere saath jayein gi mushkilain meri 

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Tu samnay hai mere phir kiyon yeh doori hai 
Tujhay kaisay bataon main hai kiya majboori hai 
Yeh bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai 
Sirf aansoo peena hai yeh bhi koi jeena hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...