Dard de kar mohabbat ki adaa bhool gaya
Dil main thi qaid magar rasm-e-wafa bhool gaya
Jin aankhon main chalaktay thay saraab her dam youn
Kiya ghula zehar, meh'kaday ka nasha bhool gaye
Zakham detay rahay lawa bhi ugalta hi raha
Guzray hain ishq main par rooh-e-wafa bhool gaye
Shumaar rehti kabhi thi aziz logon main
Ab khyalon main bhi woh dil ka pata bhool gaye
BE'piye musafir gunaah karnay ko manzoor hua
Saza to yaad rahi aur khatta bhool gaye
No comments:
Post a Comment