December hamain raas nahin aata
Kai saal guzray
Kai saal beetay
Shab-o-roz ki gardashon ka tasal'sul
Dil-o-jaan main saanson ki partain ulat'tay huye
Zal'zalon ki tarah hamptaa hai
Chitaktay huye khwaab
Aankhon ki nazuk ragain cheeltay hain
MAgar main her ik saal ki goad main jaagti subha ko
BE'karaan chahaton se atti zindagi ki dua le kar
Ab aik wohi justagoo ka safar kar raha hoon
Guzarta hua saal jaisa bhi guzra magar saal kay aakhri din
Nihayat khathan hain
Meray milnay walo
Naye saal ki muskuraati hui subha gar haath aye to
To milna
Keh jaatay huye saal ki saa'aton main
Yeh bujhta hua dil
Dhrakhta to hai muskuraata nahin
December mujhay raas aata nahin
Poet : Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment