Dhiyaan rehta hai tere gham ki inayat ki taraf
Kaisay jayein gay kisi aur ki chahat ki taraf
Baat niklay gi to sab teri taraf dekhain gay
Mujh ko anay hi nahin dain gay wazahat ki taraf
NA'munasib tha magar main ne musal'sal dekha
Thi jo ik tum se mushaaba usi surat ki taraf
Ghar jo toota to gaye maa ki taraf hi bachay
Mur kay dekha hi nahin baap ki shafqat ki taraf
Jis ki buniyaad main pathar na kisi juram ka ho
Le chalay koi hamain aisi imaarat ki taraf
Aik aurat ko samjhnay kay liye kam hai hayat
Kis tarah aye ho tum doosri aurat ki taraf
Manzil-e-ishq hai dushwaar magar azm-e-safar
Dil ne rakha hai usi ku-e-mlaamat ki taraf
Poet : Salman Sadiqui
No comments:
Post a Comment