Dil se wisaal-e-yaar ka armaan bhi gaya
Dekha jo ghar udaas to mehmaan bhi gaya
Kar li hai us ne phir gham-e-jana se dosti
Lo apnay haath se dil-e-nadaan bhi gaya
Mushkil tha apni raah pe laana ussay magar
Tha baat main khloos to woh maan bhi gaya
Dikhlaye kiya bahaar ne josh-e-junoon kay rang
Daman bacha rahay thay giribaan bhi gaya
Us ki wafa "Mohsin" na hasil hui mujh ko
Main us kay dar par le kar dil-o-jaan bhi gaya
No comments:
Post a Comment