Dukh to yahi hai us se kinaara nahin hua
Jo shakhs lamha bhar bhi hamara nahin hua
Main kiya kisi kay saath chalon ga tamaam umar
Mera to apnay saath guzaara nahin hua
Jis shakhs kay liye mujhay thukraa gaye ho tum
Main ne suna hai woh bhi tumhara nahin hua
Khwabon kay tootnay se badan toot'nay talak
Woh dukh bata jo hum ne sahara nahin hua
Kaisay maqaam-e-ishq pe ponchay huye hain hum
Haaray hain jaan aur khsaara nahin hua
Ehbaab de rahay hain naye ishq ki khabar
Apna to aik shakhs bhi sara nahin hua
"Meesam" tamaam umar yahi dukh raha mujhay
Main kiyon kisi ko jaan se pyaara nahin hua
Poet : Meesam Ali Agha
No comments:
Post a Comment