Faisala mohkam nahin bigri hui taqdeer ka
Doora rukh bhi to hota hai kisi tasveer ka
Naram lehjay se dilon par hukam'raani ka amal
Ek naya shaakaar ho ga aalam-e-taskheer ka
Log sab apni anaa kay khoal main mashoor hain
Kon samjhay ga yahan lehja teri tahreer ka
Zarab kaari jab lagataa hai koi kirdaar par
Rukh badal jaata hai us dam saahib-e-toqeer ka
Hum nasheen bas hab ba najib faisalay ki dair hai
Toot jaana hai yaqeeni aahani zanjeer ka
No comments:
Post a Comment