Aug 20, 2014

Gardish-e-waqat azmaati hai



Gardish-e-waqat azmaati hai
Zindagi raastay dikhati hai 

Naam lay kay kisi bahanay se
Ab teri yaad bhi sta'ti hai 

Khaana-e-dil main yeh hansi teri 
Ik ajab aag si lagati hai 

Hum bura kiya kahain bahaar tujhay 
Phool her rang kay khilaati hai 

Bhool jaati hai apnay wadon ko 
Aur phir pyaar bhi jata'ti hai 

Naam leti nahin kabhi mera 
Bas mere shair gun'gunaati hai 

Sochta hoon "Zia" keh woh larki 
Itnay ansoo kahan se laati hai 

Poet : Ahmed Zia 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...