Aug 24, 2014

Gawara bhi sahi jo dukh teray hain


Gawara bhi sahi jo dukh teray hain 

Magar hum ko koi gham doosray hain 

Ajab ehal-e-chaman kay din phirray hain 

Bahaaron kay bagoolon main ghiray hain 

Watan main waza'daari ne na chora 

Praye shaher main dar dar phiray hain 

Samaya phir na duniya ki nazar main 

Na janay kis bulandi se giray hain 

Ghaneemat hai jo hans kay baat kar lain 

Hamain mat chairiye hum sar phiray hain 

Jo duniya kay huye woh sakhat roye 

Khoosha woh log jo ab tak teray hain 

Faraz aaj ittafaqan mil gayi thi 

Yeh saahib bhi deewane nire hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...