Aug 1, 2014

Gayi woh baat ki ho guftagoo to kiyon kar

Gayi woh baat ki ho guftagoo to kiyon kar
kahin se kuch na hua phir kaho to kiyon kar ho

humare zehan mein is fikr ka hai naam wisaal
ki gar na ho to kahan jaayen ho to kiyon kar ho

adab hai aur yahi kash'makash to kya kiije
hayaa hai aur yahi go'ma'go to kiyon kar ho

tumhin kaho ki guzara sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi Khu to kiyon kar ho

uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein hon ek do to kiyon kar ho

jise naseeb ho roz-e-siyaah mera saa
Wo shaqs din na kahe raat ko to kiyon kar ho

humein phir un se umeed aur unhin humari qadr
humari baat hi puchhe na wo to kiyon kar ho

Galat na tha humein Khat par gumaan tasalli ka
na maane deedaa_e deedaar ju to kiyon kar ho

bataao us mishaa ko dekhakar ho mujh ko qarar
Yah nesh ho rag_e jaan mein faro to kiyon kar ho

mujhe junoon nahi Gaalib wale baqaul_e huzoor
firaaq-e-Yar mein taskeen ho to kiyon kar ho

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...