Ghair kay khat main mujhay un kay payaam atay hain
Koi manay ya na manay meray naam atay hain
Afiyat kosh musafir jinhain manzil samjhain
Ishq ki raah main aisay bhi maqaam atay hain
Ab meray ishq pe tohmat hai hawas'kaari ki
Muskuratay huye ab woh lab-e-baam atay hain
Dour-e-hashar mera naama-e-aamaal na dekh
Is main kuch parda nasheeno kay naam bhi aatay hain
Jin ko khilwat main bhi "Taseer" na dekha tha kabhi
Mehfil-e-ghair main ab woh sar-e-aam aatay hain
No comments:
Post a Comment