Aug 28, 2014

Ghar main bithay hain zamanay pe nazar rakhtay hain


Aap main gum hain magar sab ki khabar rakhtay hain 
Ghar main bithay hain zamanay pe nazar rakhtay hain 

Nukta'cheen dekhiye kis kis pe nazar rakhtay hain 
Hum bhi ae deeda'waron aib-o-hunar rakhtay hain 

Hum se ab ayi gardish-e-douraan , tumhain kiya lena hai 
Ek hi dil hai so woh zer-o-zabar rakhtay hain 

Jis ne is tarah ujaalon ka bharam rakha hai 
Apnay seenay main woh na'deeda sehar rakhtay hain 

Reh'numa kho gaye manzil to bulaati hai hamain 
Pawan zakham hain to kiya zouq-e-safar rakhtay hain 

Woh andheron ko pyaam'bar hain to kiya gham hai "Sahil"
Hum bhi aankhon main kai shaam-o-qamar rakhtay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...