Aug 27, 2014

Gir gaye magar sambhalnay se pehlay


Ek rishta jo abhi ban raha tha 
Tootnay laga magar bananay se pehlay 

Ek shaher se uthtay thay hum 
Gir gaye magar sambhalnay se pehlay 

Seekhnay lagay thay aap se muskurana 
Rula dia magar hansnay se pehlay 

Qadam jo barhain aap ki dishaa main 
Ruk gaye wohi chalnay se pehlay 

Maangnay kay liye kuch jo jholi phailaei
Kheench liya haath kuch denay se pehlay 

Hum ne jo jalaya umeedon k achragh 
Bujh gaye magar jalnay se pehlay 

Kiya yahi arth hota hai rishton ka 
Tootna hota hai inhain bananay se pehlay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...