Hamd-e-bari-ta'ala
Halqa-e-mehar main bhi parda-e-mehtaab main bhi
Kiya ajab husan hai jo gum hai meray khwaab main bhi
Jab safeena koi hota hai rawaan us ki taraf
Lehar uth'ti hai achanak meray aasaab main bhi
Woh keh rakhta hi nahin koi khad-o-khaal apnay
Main ne auron main dekha ussay ehbaab main bhi
Main khiridaar hua bhi to bhala kis ka hua
Woh jo arzaan main bhi moujood hai na'yaab main bhi
Rang-e-afsurda-e-kashkol bhi woh dast-ba-dast
Touq dar touq damakta hai zar-e-naab main bhi
Sun'nanay walon ne suna hai ussay "Asim"aksar
Shor-e-mimber main bhi khamoshi-e-mehraab main bhi
No comments:
Post a Comment