Taraash kar mere bazoo uraan chor gaya
Hawa kay paas woh barhana makaan chor gaya
Rifaaqaton ka meri us ko dihaan kitna tha
Zameen le li magar asmaan chor gaya
Ajeeb shakhs tha baarish ka rang dekh kar bhi
Khulay dareechay pe aik gul'daan chor gaya
Jo baadlon se bhu mujh ko chupa kar rakhta tha
Barhi hai dhoop to be'saiybaan chor gaya
Uqaab ko thi gharz fakhta pakarnay se
Jo gir gayi to youn hi neem jaan chor gaya
Na janay kon sa asaib dil main basta hai
Keh jo bhi tehra woh aakhir makaan chor gaya
No comments:
Post a Comment